Male  Impotence Types Of Erectile Dysfunction Namardi Ki Mazeed Aqsaam:    
Juzwi Namardi  (Partial Impotency): Iss mein insan ko  tanau (erection) hota hai magar iss mein zyada sakhti  nahi hoti jiski wajha sey insan dakhool (penetration)  mein nakam rehta hai.      
Mukammal Namardi  (Complete Impotency): Iss mein  insan ko mamoli sa bhi tanau (erection) nahi hota.      
Aarzi Namardi  (Temporary Impotency): Iss mein insan  ko kabhi tanau (erection) hota hai aur kabhi nahi hota.  Biwi ka sath hoga magar kisi dusri aurat ka sath na hoga.  aik shakhs  apni biwi ka sath bilkul normal  hota tha magar kisi dusri aurat ka sath na-mard. Essi  tarhan mera aik aur aadmi  biwi ka samnai mushtzani ( masturbation) karta to bilkul normal hota magar  intercoursre ki koshish karta to iss kay penis ka tanau ( erection) khatam hojata.     
Mustaqil Namardi  (Permanent Impotency): Iss mein  insan ko kabhi bhi tanau (erection) nahi hota.     Namardi ka masla kafi aam hai magar  premature ejaculation sey kam hai. Ek survey sey  maloom hua hai kay America mein 10 % log kabhi na  kabhi iss masley ka shikar ho jatey hain. 
Agar koi shakhs  4 sey 5 baar mubashrat (Intercourse) mein nakam  hojaey to iss sey foran kisi mahir e nafsiyat sey rabta  karna chahiyie. Der ki sorat mein maslai ko hal karna  mushkil hojata hai. Jawani mein yeh masla taqreeban  100 % nafsiyati hota hai.
Jis insan ko kisi bhi waqt tanau ( erection) hota hai woh bilkul normal hota hai. Agar  insan ko shadeed beemari nahi to har mard ko raat  sotey hoey 4 to 5 time tanau (erection) hota hai. Jo  kay kuch minutes sey lay kar half hour tak rahta hai.  Magar aksar logon ko iss ka ilm aur ahsas nahi hota.
Friday, 5 August 2011
          
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
E for Entertainment, Entertainment for everyone , this blog provide entertainment for people of every age group. This blog contains Pakistani Dramas Online, Online Movies ,Free Online Live tv Streaming Channels, English and Urdu Stories, Wallpapers, English and Urdu stories, Games, Songs, Softwares and much more.
!–sidebar>

0 comments:
Post a Comment