Breaking News
Loading...
Friday 5 August 2011

Male impotense. Namardi ki Aqsaam.

Male Impotence Types Of Erectile Dysfunction Namardi Ki Mazeed Aqsaam:   

Juzwi Namardi (Partial Impotency): Iss mein insan ko tanau (erection) hota hai magar iss mein zyada sakhti nahi hoti jiski wajha sey insan dakhool (penetration) mein nakam rehta hai.    

Mukammal Namardi (Complete Impotency): Iss mein insan ko mamoli sa bhi tanau (erection) nahi hota.    


Aarzi Namardi (Temporary Impotency): Iss mein insan ko kabhi tanau (erection) hota hai aur kabhi nahi hota. Biwi ka sath hoga magar kisi dusri aurat ka sath na hoga. aik shakhs apni biwi ka sath bilkul normal hota tha magar kisi dusri aurat ka sath na-mard. Essi tarhan mera aik aur aadmi biwi ka samnai mushtzani ( masturbation) karta to bilkul normal hota magar intercoursre ki koshish karta to iss kay penis ka tanau ( erection) khatam hojata.   


Mustaqil Namardi (Permanent Impotency): Iss mein insan ko kabhi bhi tanau (erection) nahi hota.     Namardi ka masla kafi aam hai magar premature ejaculation sey kam hai. Ek survey sey maloom hua hai kay America mein 10 % log kabhi na kabhi iss masley ka shikar ho jatey hain.

Agar koi shakhs 4 sey 5 baar mubashrat (Intercourse) mein nakam hojaey to iss sey foran kisi mahir e nafsiyat sey rabta karna chahiyie. Der ki sorat mein maslai ko hal karna mushkil hojata hai. Jawani mein yeh masla taqreeban 100 % nafsiyati hota hai.


Jis insan ko kisi bhi waqt tanau ( erection) hota hai woh bilkul normal hota hai. Agar insan ko shadeed beemari nahi to har mard ko raat sotey hoey 4 to 5 time tanau (erection) hota hai. Jo kay kuch minutes sey lay kar half hour tak rahta hai. Magar aksar logon ko iss ka ilm aur ahsas nahi hota.

0 comments:

Post a Comment

E for Entertainment, Entertainment for everyone , this blog provide entertainment for people of every age group. This blog contains Pakistani Dramas Online, Online Movies ,Free Online Live tv Streaming Channels, English and Urdu Stories, Wallpapers, English and Urdu stories, Games, Songs, Softwares and much more.
 
Toggle Footer